yeh din yuhi guzar jayenge,
shayad hum dost bichad jayenge,
naaraj na ho aap humari sharaaraton se,
yehi to woh pl hai jo aksar yaad ayenge....isnt it??
kabhi tha tumhara aashiyana yeh dil
ab sannaton ka ghar lagta hai
kehne ko to zinda hai yeh tan
karib se beruh magar lagta hai
har manjil mujhe aasan thi kabhi
ab mushkil har manjhar lagta hai
ki ab to khushion se bhi darr lagta hai...
duniya ne pehnaya jo kaaton ka mukut
na jane kyu ab taaj sa lagta hai
khuda ne barsaya jo jahanum ka taap
na jane kyu ab shabnami ehsaas sa lagta hai
tune jo banaya apne hathon se jaam
hai zeher ka per mujhe amrit sa lagta hai.....
gum k saagar mein kahin kho gayi hasin meri..
suraj ke taap ne sukha di aakhon k nami bhi...
na koi chah na aarjoo na koi jasba hi bacha dil mein
pherti hai humse muh ab to maut ki raat bhi
deedar unka hota hai
jo humse door ho jaate hain
yaad unki aati hai
jinhe hum bhool jaate hai
ab unse kya milna
jinhe hum aakhon mein basate hain
kyun nazaren meri pyaasi hai
kyun dil ko kisi ki aas hai
kyu hai yeh anjaan si aarzoo teri
jab tere aane ki koi raah hi nahi
jab tujhe meri chaah hi nahi
kyu hai dil ab bhi dhadakta
jabki yeh jaanta hai
iske dard ki koi panaah hi nahi
humne teri aashiqui mein khud ko mita dia
parwaane ki tarah khud ko shama mein jala dia
arre kam se kam kabr per to meri aaye hote ek dafa
hume humari chaahat ka esa silaah diya
dil ne aapko apna samjha, kya koi khata ho gayi
yaa phir aaj itni sasti meri yeh wafa ho gayi
itni behrehmi se thukraya mere pyaar ko
aaj zindagi bhi humare liye saza ho gayi
dard dil ko hota hai aasun aakhon ko aate hain
un aasuon ko bhi magar yeh hott pee jaate hain
phir bhi chupaye nahi chupta yeh gam teri judai ka
tere sang gujre lamhe teri yaad jo dilate hain